Bewafai

Thursday, September 20, 20070 comments

Kyon banati ho rait ka mahal
Jise khud tod dalogi
Aaj kahati ho mujhe pyar hain tumse
Kal naam tak bhula dalogi

Do ghadiki mulakat me,
Umar bhar ka sitam de gaye,
Kya mila hai sila ishqme,
Pyar manga gam de gaye…


Yadonme hamari wo bhi khoye honge,
Khuli aankhonse kabhi wo bhi soye honge,
Mana hasna hai ada gam chhupane ki
Par haste haste kabhi wo bhi roye honge…

Meri khamoshi thi jo seh gayi,
Uski yaadein hi ab dilme reh gayi,
Thi shayad uski bhi koi majburi,
Jo aaj meri kahani phir adhuri reh gayi…


Kabhi na aaye wo mere sath chalke
Hamesha gaye wo mujhe barbaad karke,
Kabhi toh aajanye wo meri mayyat pe to keh dena
Abhi soya hai tujhe yaad karke…

Mana ke bhool jana aapki fitrat hi sahi,
magar hame bhool jana aapki kismat me nahi,
chaho to azmakar dekh lo,
khud ko bhool jaoge par hame nahi…


Zikr-e-ulfat jab chala ek hadsa yaad aagaya,
Zakham dilke has diye wo bewafaya yaad aagaya,
Is tarah na guzri dardke maronki raat,
Dard kuch itna badha bus khuda yaad aagaya…

Paas aakar sabhi dur chale jaate hai,
Hum akele the akele hi reh jaate hai,
Dilka dard kise dikhaye,
Murham laganewale hi zakham de jaate hai…

Fursat nahi rone rulane ke waste,
Kyon yaad aate ho hame tadpaneke waste,
Jab humse daman chhuda hi lena tha
To kyon nazar aate ho dil jalaneke waste…

Har gam saha tere pyar ki khatir,
Har diwar todi tere didarki khatir.
Har ummid mita di tujhe pane ki khatir,
Aur tune mera dil tod diya zamane ki khatir…


Dil to jalkar raakh ho gaya,
Magar in aankhonse roay na gaya.
Zakham aisa mila is dilko
ke phoolonse bistar par bhi soya na gaya..

Janta hu ki bewafa hai wo,
phir bhi dilke hathon fareb khata hun,
Roz kehta hoon ki bhul jaunga use,
Roz isi baat ko bhul jaata hoon…


Sari duniya chhodkar hum tumhe pane chale the,
Apnoko chhodkar tumhe apnane chale the,
Kya pata tha sapne tutke shisheki tarah bikhar jayenge,
Hum to apne sapno ko jilane chale the…

Ameer se nahi garib se puchho daulat kya chiz hoti hai,
Jisne dil diya hai usko nahi,
Jiska dil tuta hai usko puchho,
Mohabbat kya chiz hoti hai…


Janaza mera uth raha tha,
Taklif thi usko aane me,
Bewafa ghar baithe puch rahi thi,
Aur kitni der hai dafnane me….

Jinhe dekhne ke liye hum jiye ja rahe hai,
Wo parde pe parde kiye ja rahe hai,
Tajjub hai yaro hum mare to nahin,
Par wo kafan pe kafan siye ja rahe hai…..


Apne hi dilke hathon barbaad ho gaye hum,
Kisse kare shikayat ab kiski de duhayi,
Duniya bananewale main tujhse puchhta hun,
Kkya pyarka jahanme badla hai bewafai??

TUM JO AA JAATE TO KAAM BAN JAATAA
KISSAA-E-GHUM TAMAAM HO JAATAA
DHANK DETE JO TUM DAAMAN APNA
KAFAN KA INTEZAAM HO JAATAA……………


Unhe hum kya kahein,
Jinhe ek nahi bahut saare pasand hai,
Ye wo badnaseeb hai,
Jinhe chand nahi tare pasand hai…
Share this article :

Post a Comment

 
Support : Creating Website | Johny Template | Mas Template
Copyright © 2011. PKSMS - All Rights Reserved
Template Created by Creating Website Published by Mas Template
Proudly powered by Blogger